baat achhi buri lagi us ko
koi dikhlaaye raushni us ko
ek beemaar hai bahut beemaar
kaash aa jaaye maut hi us ko
ek ladki mujhe jo devi hai
kyun sataata hai aadmi us ko
apna ye jism bhi nahin apna
kaun samjhaaye har ghadi us ko
us ke hone se chal rahi dhadkan
main ne de di hai zindagi us ko
kaam aata hoon yaar ke ab bhi
raas aati hai shaayri us ko
बात अच्छी बुरी लगी उस को
कोई दिखलाए रौशनी उस को
एक बीमार है बहुत बीमार
काश आ जाए मौत ही उस को
एक लड़की मुझे जो देवी है
क्यूँ सताता है आदमी उस को
अपना ये जिस्म भी नहीं अपना
कौन समझाए हर घड़ी उस को
उस के होने से चल रही धड़कन
मैं ने दे दी है ज़िंदगी उस को
काम आता हूँ यार के अब भी
रास आती है शाइरी उस को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Dosti Shayari Shayari