waqt kuchh baaghbaan agar dega
sookhta ped bhi samar dega
haar jaaunga ek din main bhi
tu bhi ik din muaaf kar dega
ho chuke theek paanv ke chaale
ab mujhe lutf kuchh safar dega
jab khuda ke hai haath mein sab kuchh
meri mushkil bhi khatm kar dega
aur zaroorat nahin ilaaj ki ab
mera hansna hi zakhm bhar dega
वक़्त कुछ बाग़बाँ अगर देगा
सूखता पेड़ भी समर देगा
हार जाऊँगा एक दिन मैं भी
तू भी इक दिन मुआफ़ कर देगा
हो चुके ठीक पाँव के छाले
अब मुझे लुत्फ़ कुछ सफ़र देगा
जब ख़ुदा के है हाथ में सब कुछ
मेरी मुश्किल भी ख़त्म कर देगा
और ज़रूरत नहीं इलाज की अब
मेरा हँसना ही ज़ख़्म भर देगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Haar Shayari Shayari