kuchh bhi nahin hone ki uljhan kuchh bhi nahin hai tum to ho
ai mere dil dasht ki jogan kuchh bhi nahin hai tum to ho
tum se ek dhanak phootegi aur kamre mein bikhregi
deewaron pe rang na roghan kuchh bhi nahin hai tum to ho
ik darpan jo theek mere dil hi ke andar khulta hai
dekh raha hoon main vo darpan kuchh bhi nahin hai tum to ho
mere khayaalon ki duniya mein kuchh bhi nahin jaanaan lekin
kam nahin karna apni ban-than kuchh bhi nahin hai tum to ho
कुछ भी नहीं होने की उलझन कुछ भी नहीं है तुम तो हो
ऐ मेरे दिल दश्त की जोगन कुछ भी नहीं है तुम तो हो
तुम से एक धनक फूटेगी और कमरे में बिखरेगी
दीवारों पे रंग न रोग़न कुछ भी नहीं है तुम तो हो
इक दर्पन जो ठीक मिरे दिल ही के अंदर खुलता है
देख रहा हूँ मैं वो दर्पन कुछ भी नहीं है तुम तो हो
मेरे ख़यालों की दुनिया में कुछ भी नहीं जानाँ लेकिन
कम नहीं करना अपनी बन-ठन कुछ भी नहीं है तुम तो हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Swapnil Tiwari
our suggestion based on Swapnil Tiwari
As you were reading Festive Shayari Shayari