zameen dobaara bane aur khuda ka naam na ho
ke kun ke baad phir us se dua salaam na ho
bhatkata firta hoon beghar jo in dinon har shaam
ye ik udaas parinde ka intiqaam na ho
ye kya ki ek zara khudkushi ka dil jo kare
to ghar mein maut ka thoda bhi intizaam na ho
ज़मीं दुबारा बने और ख़ुदा का नाम न हो
के 'कुन' के बाद फिर उस से दुआ सलाम न हो
भटकता फिरता हूँ बेघर जो इन दिनों हर शाम
ये इक उदास परिंदे का इंतक़ाम न हो
ये क्या कि एक ज़रा ख़ुदकुशी का दिल जो करे
तो घर में मौत का थोड़ा भी इंतेज़ाम न हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Swapnil Tiwari
our suggestion based on Swapnil Tiwari
As you were reading Khuda Shayari Shayari