sama'aton mein bahut door ki sada le kar | समाअतों में बहुत दूर की सदा ले कर

  - Swapnil Tiwari

sama'aton mein bahut door ki sada le kar
bhatk raha hoon main ik khwaab ka pata le kar

tumhaari yaad baras jaaye to thakan kam ho
kahaan kahaan main phiroon sar pe ab ghatta le kar

tamaam hijr ke maaron sa shab ke dariya mein
main doob jaaun wahi chaand ka ghada le kar

tumhaara khwaab bhi aaye to neend poori ho
main so to jaaunga neend aane ki dava le kar

main khud se door nikalta gaya udhadta hua
khud apni zaat se nikla hua sira le kar

tamaam shehar ki taameer dhoop ne ki hai
milegi chaanv bhi us ka hi aasraa le kar

bacha hai mujh mein bas ik aakhiri sharar aatish
koi to aaye tiri yaad ki hawa le kar

समाअतों में बहुत दूर की सदा ले कर
भटक रहा हूँ मैं इक ख़्वाब का पता ले कर

तुम्हारी याद बरस जाए तो थकन कम हो
कहाँ कहाँ मैं फिरूँ सर पे अब घटा ले कर

तमाम हिज्र के मारों सा शब के दरिया में
मैं डूब जाऊँ वही चाँद का घड़ा ले कर

तुम्हारा ख़्वाब भी आए तो नींद पूरी हो
मैं सो तो जाऊँगा नींद आने की दवा ले कर

मैं ख़ुद से दूर निकलता गया उधड़ता हुआ
ख़ुद अपनी ज़ात से निकला हुआ सिरा ले कर

तमाम शहर की तामीर धूप ने की है
मिलेगी छाँव भी उस का ही आसरा ले कर

बचा है मुझ में बस इक आख़िरी शरर 'आतिश'
कोई तो आए तिरी याद की हवा ले कर

  - Swapnil Tiwari

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Swapnil Tiwari

As you were reading Shayari by Swapnil Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Swapnil Tiwari

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari