bata ai abr musawaat kyun nahin karta
hamaare gaav mein barsaat kyun nahin karta
mahaaz-e-ishq se kab kaun bach ke nikla hai
tu bav gaya hai to khairaat kyun nahin karta
vo jis ki chaanv mein pacchees saal guzre hain
vaa ped mujh se koi baat kyun nahin karta
main jis ke saath kai din guzaar aaya hoon
vo mere saath basar raat kyun nahin karta
mujhe tu jaan se badh kar aziz ho gaya hai
to mere saath koi haath kyun nahin karta
बता ऐ अब्र मुसावात क्यूँ नहीं करता
हमारे गाँव में बरसात क्यूँ नहीं करता
महाज़-ए-इश्क़ से कब कौन बच के निकला है
तू बव गया है तो ख़ैरात क्यूँ नहीं करता
वो जिस की छाँव में पच्चीस साल गुज़रे हैं
वा पेड़ मुझ से कोई बात क्यूँ नहीं करता
मैं जिस के साथ कई दिन गुज़ार आया हूँ
वो मेरे साथ बसर रात क्यूँ नहीं करता
मुझे तू जान से बढ़ कर अज़ीज़ हो गया है
तो मेरे साथ कोई हाथ क्यूँ नहीं करता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi
our suggestion based on Tehzeeb Hafi
As you were reading Baarish Shayari Shayari