ye shayari ye mere seene mein dabii hui aag
bhadak uthegi kabhi meri jama ki hui aag
main choo raha hoon tera jism khwaab ke andar
bujha raha hoon main tasveer mein lagi hui aag
khijaan mein door rakho maachiso ko jungle se
dikhaai deti nahin ped mein chhupi hui aag
main kaatta hoon abhi tak wahi kate hue lafz
main taapta hoon abhi tak wahi bujhi hui aag
yahi diya tujhe pehli nazar mein bhaaya tha
khareed laaya main teri pasand ki hui aag
ek umr se jal bujh raha hoon inke sabab
tera bacha hua paani teri bachi hui aag
ये शायरी ये मेरे सीने में दबी हुई आग
भड़क उठेगी कभी मेरी जमा की हुई आग
मैं छू रहा हूं तेरा जिस्म ख्वाब के अंदर
बुझा रहा हूं मैं तस्वीर में लगी हुई आग
खिजां में दूर रखो माचिसो को जंगल से
दिखाई देती नहीं पेड़ में छुपी हुई आग
मैं काटता हूं अभी तक वही कटे हुए लफ्ज़
मैं तापता हूं अभी तक वही बुझी हुई आग
यही दिया तुझे पहली नजर में भाया था
खरीद लाया मैं तेरी पसंद की हुई आग
एक उम्र से जल बूझ रहा हूं इनके सबब
तेरा बचा हुआ पानी तेरी बची हुई आग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi
our suggestion based on Tehzeeb Hafi
As you were reading Aanch Shayari Shayari