safed shirt thi tum seediyon pe baithe the
main jab class se nikli thi muskuraate hue
hamaari pehli mulaqaat yaad hai na tumhein
ishaare karte the tum mujhko aate jaate hue
tamaam raat ko aankhe na bhoolti theen mujhe
ki jinmein mere liye izzat aur vaqaar dikhe
mujhe ye duniya bayaabaan thi magar ik din
tum ek baar dikhe aur beshumaar dikhe
mujhe ye dar tha ki tum bhi kahi vo hi to nahin
jo jism par hi tamannaa ke daag chhodte hain
khuda ka shukr ki tum unse mukhtalif nikle
jo phool tod ke gusse mein baag chhodte hain
ziyaada waqt na guzra tha is muqaddam ko
ki uske baad vo lamha kareen kareen aaya
chhua tha tumne mujhe aur mujhe mohabbat par
yaqeen aaya tha lekin kabhi nahin aaya
phir uske baad mera naksha-e-sukoot gaya
main kashmakash mein thi tum mere kaun lagte ho
main amrita tumhein sochun to mere saahir ho
main faariha tumhein dekhoon to john lagte ho
ham ek saath rahe aur hamein pata na chala
taalluqaat ki had bandiyaan bhi hoti hain
mohabbaton ke safar mein jo raaste hain wahin
havas ki simt mein pagdandiyaan bhi hoti hain
tumhaare vaaste jo mere dil mein hai haafi
tumhein ye kaash main sab kuchh kabhi bata paati
aur ab mazid na milne ki koi wajah nahin
bas apni maa se main aankhen nahin mila paati
सफ़ेद शर्ट थी तुम सीढ़ियों पे बैठे थे
मैं जब क्लास से निकली थी मुस्कुराते हुए
हमारी पहली मुलाक़ात याद है ना तुम्हें?
इशारे करते थे तुम मुझको आते जाते हुए
तमाम रात को आँखे न भूलती थीं मुझे
कि जिनमें मेरे लिए इज़्ज़त और वक़ार दिखे
मुझे ये दुनिया बयाबान थी मगर इक दिन
तुम एक बार दिखे और बेशुमार दिखे
मुझे ये डर था कि तुम भी कहीं वो ही तो नहीं
जो जिस्म पर ही तमन्ना के दाग़ छोड़ते हैं
ख़ुदा का शुक्र कि तुम उनसे मुख़्तलिफ़ निकले
जो फूल तोड़ के ग़ुस्से में बाग़ छोड़ते हैं
ज़ियादा वक़्त न गुज़रा था इस तअल्लुक़ को
कि उसके बाद वो लम्हा करीं करीं आया
छुआ था तुमने मुझे और मुझे मोहब्बत पर
यक़ीन आया था लेकिन कभी नहीं आया
फिर उसके बाद मेरा नक्शा-ए-सुकूत गया
मैं कश्मकश में थी तुम मेरे कौन लगते हो
मैं अमृता तुम्हें सोचूँ तो मेरे साहिर हो
मैं फ़ारिहा तुम्हें देखूँ तो जॉन लगते हो
हम एक साथ रहे और हमें पता न चला
तअल्लुक़ात की हद बंदियाँ भी होती हैं
मोहब्बतों के सफ़र में जो रास्ते हैं वहीं
हवस की सिम्त में पगडंडियाँ भी होती हैं
तुम्हारे वास्ते जो मेरे दिल में है 'हाफ़ी'
तुम्हें ये काश मैं सब कुछ कभी बता पाती
और अब मज़ीद न मिलने की कोई वजह नहीं
बस अपनी माँ से मैं आँखें नहीं मिला पाती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi
our suggestion based on Tehzeeb Hafi
As you were reading Visaal Shayari Shayari