faqat toote nahin ham jud ke phir panpe bhi hain dekho
siva zakhamon ke duniya se mile misre bhi hain dekho
muhabbat baagh se karte ho to kaisi tarafdaari
agar gul hain to patte bhi hain aur kaante bhi hain dekho
jo dikhlaayaa gaya tha us pe to chalta raha lekin
koii ye kaash kah deta alag raste bhi hain dekho
ye jo duniya kii jholi hai ye sachmuch hi niraali hai
yahan darvesh bhi hain aur ham jaise bhi hain dekho
tasalli ho gai kya dekh ke aaine mein khud ko
kiya jaaye phir ab elaan ham dikhte bhi hain dekho
फ़क़त टूटे नहीं हम जुड़ के फिर पनपे भी हैं देखो
सिवा ज़ख़्मों के दुनिया से मिले मिसरे भी हैं देखो
मुहब्बत बाग़ से करते हो तो कैसी तरफ़दारी
अगर गुल हैं तो पत्ते भी हैं और काँटे भी हैं देखो
जो दिखलाया गया था उस पे तो चलता रहा लेकिन
कोई ये काश कह देता अलग रस्ते भी हैं देखो
ये जो दुनिया की झोली है ये सचमुच ही निराली है
यहाँ दरवेश भी हैं और हम जैसे भी हैं देखो
तसल्ली हो गई क्या देख के आईने में ख़ुद को
किया जाए फिर अब एलान हम दिखते भी हैं देखो
As you were reading Shayari by Ananth Faani
our suggestion based on Ananth Faani
As you were reading undefined Shayari