pukaarta tha koi jab to ham nahin thehre
jahaan hamaari zaroorat na thi wahin thehre
is ek dar se lagaataar chal rahe hain ham
juda ho jaayenge ham tum agar kahi thehre
kabhi kabhi to main dariya bhi rok deta hoon
kabhi kabhi to mere ashk hi nahin thehre
ana mein gum hai vo apni so ab ye behtar hai
thehar gaya hai jahaan bhi vo ab wahin thehre
yun kab talak main use rokta rahoon haider
kabhi vo khud bhi to soche ki vo yahin thehre
पुकारता था कोई जब तो हम नहीं ठहरे
जहाँ हमारी ज़रूरत न थी वहीं ठहरे
इस एक डर से लगातार चल रहे हैं हम
जुदा हो जाएँगे हम तुम अगर कहीं ठहरे
कभी कभी तो मैं दरिया भी रोक देता हूँ
कभी कभी तो मेरे अश्क ही नहीं ठहरे
अना में गुम है वो अपनी सो अब ये बेहतर है
ठहर गया है जहाँ भी वो अब वहीं ठहरे
यूँ कब तलक मैं उसे रोकता रहूँ 'हैदर'
कभी वो खुद भी तो सोचे कि वो यहीं ठहरे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haider Khan
our suggestion based on Haider Khan
As you were reading Wahshat Shayari Shayari