mere rab ne ye mujh par ilhaam kiya hai | मेरे रब ने ये मुझ पर इल्हाम किया है

  - Salma Malik

mere rab ne ye mujh par ilhaam kiya hai
ek ghazal ko phir maine anjaam kiya hai

dushman ko meri badnaami se kya lena
karna hi tha so mujhko badnaam kiya hai

mujhko pyaar bahut mera sayyaad kare hai
lekin ye pinjra usne inaam kiya hai

mera hona usko rusva kar deta tha
so uski khaatir khud ko gumnaam kiya hai

door abhi sau-gaam safar manzil hai meri
lekin ab tak qadmon ne do gaam kiya hai

mazhab mein bant kar ik dooje ko kaate hain
janta ne kisko apna gulfaam kiya hai

kar na sakegi tanhaa tanhaai bhi salma
tune khud ko khud ka dil-aaraam kiya hai

मेरे रब ने ये मुझ पर इल्हाम किया है
एक ग़ज़ल को फिर मैंने अंजाम किया है

दुश्मन को मेरी बदनामी से क्या लेना
करना ही था सो मुझको बदनाम किया है

मुझको प्यार बहुत मेरा सय्याद करे है
लेकिन ये पिंजरा उसने इनआम किया है

मेरा होना उसको रुस्वा कर देता था
सो उसकी ख़ातिर ख़ुद को गुमनाम किया है

दूर अभी सौ-गाम सफ़र मंज़िल है मेरी
लेकिन अब तक क़दमों ने दो गाम किया है

मज़हब में बँट कर इक दूजे को काटे हैं
जनता ने किसको अपना गुलफ़ाम किया है

कर न सकेगी तन्हा तन्हाई भी 'सलमा'
तूने ख़ुद को ख़ुद का दिल-आराम किया है

  - Salma Malik

Political Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Salma Malik

As you were reading Shayari by Salma Malik

Similar Writers

our suggestion based on Salma Malik

Similar Moods

As you were reading Political Shayari Shayari