main barsh chhod chuka aakhiri tasveer ke baad | मैं बरश छोड़ चुका आख़िरी तस्वीर के बाद

  - Umair Najmi

main barsh chhod chuka aakhiri tasveer ke baad
mujh se kuchh ban nahin paaya tiri tasveer ke baad

mushtarik dost bhi chhoote hain tujhe chhodne par
ya'ni deewaar hataani padi tasveer ke baad

yaar tasveer mein tanhaa hoon magar log mile
kai tasveer se pehle kai tasveer ke baad

doosra ishq mayassar hai magar karta nahin
kaun dekhega puraani nayi tasveer ke baad

bhej deta hoon magar pehle bata doon tujh ko
mujh se milta nahin koi meri tasveer ke baad

khushk deewaar mein seelan ka sabab kya hoga
ek addad zang lagi keel thi tasveer ke baad

मैं बरश छोड़ चुका आख़िरी तस्वीर के बाद
मुझ से कुछ बन नहीं पाया तिरी तस्वीर के बाद

मुश्तरक दोस्त भी छूटे हैं तुझे छोड़ने पर
या'नी दीवार हटानी पड़ी तस्वीर के बाद

यार तस्वीर में तन्हा हूँ मगर लोग मिले
कई तस्वीर से पहले कई तस्वीर के बाद

दूसरा इश्क़ मयस्सर है मगर करता नहीं
कौन देखेगा पुरानी नई तस्वीर के बाद

भेज देता हूँ मगर पहले बता दूँ तुझ को
मुझ से मिलता नहीं कोई मिरी तस्वीर के बाद

ख़ुश्क दीवार में सीलन का सबब क्या होगा
एक अदद ज़ंग लगी कील थी तस्वीर के बाद

  - Umair Najmi

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umair Najmi

As you were reading Shayari by Umair Najmi

Similar Writers

our suggestion based on Umair Najmi

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari