tum chup rahe payaam-e-mohabbat yahi to hai | तुम चुप रहे पयाम-ए-मोहब्बत यही तो है

  - Unknown

tum chup rahe payaam-e-mohabbat yahi to hai
aankhen jhuki nazar ki qayamat yahi to hai

mehfil mein log chaunk pade mere naam par
tum muskuraa diye meri qeemat yahi to hai

tum poochte ho tum ne shikaayat bhi ki kabhi
sach poochiye to mujh ko shikaayat yahi to hai

vaade the be-shumaar magar ai mizaaj-e-yaar
ham yaad kya dilaayein nazaakat yahi to hai

mere talab ki had hai na tere ata ki had
mujh ko tire karam ki nadaamat yahi to hai

तुम चुप रहे पयाम-ए-मोहब्बत यही तो है
आँखें झुकीं नज़र की क़यामत यही तो है

महफ़िल में लोग चौंक पड़े मेरे नाम पर
तुम मुस्कुरा दिए मिरी क़ीमत यही तो है

तुम पूछते हो तुम ने शिकायत भी की कभी
सच पूछिए तो मुझ को शिकायत यही तो है

वादे थे बे-शुमार मगर ऐ मिज़ाज-ए-यार
हम याद क्या दिलाएँ नज़ाकत यही तो है

मेरे तलब की हद है न तेरे अता की हद
मुझ को तिरे करम की नदामत यही तो है

  - Unknown

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Unknown

As you were reading Shayari by Unknown

Similar Writers

our suggestion based on Unknown

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari