marham ke nahin hain ye taraf-daar namak ke
nikle hain mere zakham talabgaar namak ke
aaya koi sailaab kahaani mein achaanak
aur ghul gaye paani mein vo kirdaar namak ke
dono hi kinaaron pe thi beemaaron ki majlis
is paar the meethe ke to us paar namak ke
us ne hi diye zakham ye gardan pe hamaari
phir us ne hi pahnaaye hamein haar namak ke
kahti thi ghazal mujh ko hai marham ki zaroorat
aur dete rahe sab use ashaar namak ke
jis samt mila karti theen zakhamon ki dawaayein
sunte hain ki ab hain wahan bazaar namak ke
मरहम के नहीं हैं ये तरफ़-दार नमक के
निकले हैं मिरे ज़ख़्म तलबगार नमक के
आया कोई सैलाब कहानी में अचानक
और घुल गए पानी में वो किरदार नमक के
दोनों ही किनारों पे थी बीमारों की मज्लिस
इस पार थे मीठे के तो उस पार नमक के
उस ने ही दिए ज़ख़्म ये गर्दन पे हमारी
फिर उस ने ही पहनाए हमें हार नमक के
कहती थी ग़ज़ल मुझ को है मरहम की ज़रूरत
और देते रहे सब उसे अशआ'र नमक के
जिस सम्त मिला करती थीं ज़ख़्मों की दवाएँ
सुनते हैं कि अब हैं वहाँ बाज़ार नमक के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Varun Anand
our suggestion based on Varun Anand
As you were reading Haar Shayari Shayari