tumhaari udaasi mein barkat ho jaaye
tumhein gar kisi se mohabbat ho jaaye
jise apne dil mein basaa ke rakhe ho
use phir kisi aur kii hasrat ho jaaye
bahut ho gaya khel yaadon ka ab to
udaasi kii ab mere hijrat ho jaaye
koii khairiyat uski mujhko bataaye
mere dil ko thodi sii raahat ho jaaye
tumhaare jatan maine kitne kiye the
isi baat par phir vakaalat ho jaaye
main apni mohabbat khareedunga ik din
mere paas thodi sii daulat ho jaaye
main nakhre tumhaare utha loonga saare
mujhe pehle sunne kii aadat ho jaaye
mohabbat kii baatein karein pyaari pyaari
vo sun ke ye sab baatein sharbat ho jaaye
vo ladka tumhein chhod de ye main sochun
kisi din ye sab phir haqeeqat ho jaaye
vo meri mohabbat mein tadpe kisi din
usi din mujhe usse nafrat ho jaaye
bahut mere dil mein rahi hai meri jaan
to kya uski yaadon kii khidmat ho jaaye
mujhe tum bahut achhi lagti ho jaanaan
mujhe tum milo aisi qismat ho jaaye
bhamar chand aur kuchh nahin chahiye phir
ki haider kii thodi hukoomat ho jaaye
तुम्हारी उदासी में बरकत हो जाए
तुम्हें गर किसी से मोहब्बत हो जाए
जिसे अपने दिल में बसा के रखे हो
उसे फिर किसी और की हसरत हो जाए
बहुत हो गया खेल यादों का अब तो
उदासी की अब मेरे हिजरत हो जाए
कोई ख़ैरियत उसकी मुझको बताए
मेरे दिल को थोड़ी सी राहत हो जाए
तुम्हारे जतन मैंने कितने किए थे
इसी बात पर फिर वकालत हो जाए
मैं अपनी मोहब्बत ख़रीदूँगा इक दिन
मेरे पास थोड़ी सी दौलत हो जाए
मैं नख़रे तुम्हारे उठा लूँगा सारे
मुझे पहले सुनने की आदत हो जाए
मोहब्बत की बातें करें प्यारी प्यारी
वो सुन के ये सब बातें शर्बत हो जाए
वो लड़का तुम्हें छोड़ दे ये मैं सोचूँ
किसी दिन ये सब फिर हक़ीक़त हो जाए
वो मेरी मोहब्बत में तड़पे किसी दिन
उसी दिन मुझे उससे नफ़रत हो जाए
बहुत मेरे दिल में रही है मेरी जाँ
तो क्या उसकी यादों की ख़िदमत हो जाए
मुझे तुम बहुत अच्छी लगती हो जानाँ
मुझे तुम मिलो ऐसी क़िस्मत हो जाए
भमर चंद और कुछ नहीं चाहिए फिर
कि 'हैदर' की थोड़ी हुकूमत हो जाए
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading undefined Shayari