ajab si aaj-kal main ik pareshaani mein hoon yaaro | अजब सी आज-कल मैं इक परेशानी में हूँ यारो - Vineet Aashna

ajab si aaj-kal main ik pareshaani mein hoon yaaro
yahi mushkil meri hai bas main aasaani mein hoon yaaro

mujhe un jheel si aankhon mein yun bhi doobna hi hai
na poocho baarha kitne mein ab paani mein hoon yaaro

na soorat vasl ki koi na koi hijr ka gham hai
main ab ke baar kuch aisi hi veeraani mein hoon yaaro

mujhe lagta tha mumkin hi nahin hai us ke bin jeena
main zinda hoon magar muddat se hairaani mein hoon yaaro

badan ka pairhan chhota mujhe padne laga itna
main khul kar saans lene ko bhi uryaani mein hoon yaaro

khuda ne rakh diya mujh ko usi ke dil mein jaane kyun
na baahon mein hoon main jis ki na peshaani mein hoon yaaro

usi ik aashnaa ko dhoondhti har pal meri aankhen
main rehta raat-din jis ki nigahbaani mein hoon yaaro

अजब सी आज-कल मैं इक परेशानी में हूँ यारो
यही मुश्किल मेरी है बस मैं आसानी में हूँ यारो

मुझे उन झील सी आँखों में यूँ भी डूबना ही है
न पूछो बारहा कितने में अब पानी में हूँ यारो

न सूरत वस्ल की कोई न कोई हिज्र का ग़म है
मैं अब के बार कुछ ऐसी ही वीरानी में हूँ यारो

मुझे लगता था मुमकिन ही नहीं है उस के बिन जीना
मैं ज़िंदा हूँ मगर मुद्दत से हैरानी में हूँ यारो

बदन का पैरहन छोटा मुझे पड़ने लगा इतना
मैं खुल कर साँस लेने को भी उर्यानी में हूँ यारो

ख़ुदा ने रख दिया मुझ को उसी के दिल में जाने क्यूँ
न बाहोँ में हूँ मैं जिस की न पेशानी में हूँ यारो

उसी इक 'आशना' को ढूँढती हर पल मिरी आँखें
मैं रहता रात-दिन जिस की निगहबानी में हूँ यारो

- Vineet Aashna
2 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vineet Aashna

As you were reading Shayari by Vineet Aashna

Similar Writers

our suggestion based on Vineet Aashna

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari