khud ko sametne mein thi itni agar-magar
bikhra pada hoon aaj bhi tere idhar-udhar
apni kami se kah do ki shiddat se to rahe
dekho ki rah na jaaye kahi kuchh kasar-vasar
ik roz tum bhi to zara khud se nikal milo
tay kar liye hain main ne to saare safar-wafar
nafrat tiri ya pyaar ho gham ho sharaab ho
mumkin nahin hai thode mein apni guzar-basar
tu kya gai main ho gaya hoon sakht-jaan maa
lagti nahin hai ab to mujhe kuchh nazar-vazar
muddat se kuchh bhi to teri chalti nahin khuda
rakha tu kar jahaan ki bhi kuchh khabar-vabar
bas ishq ka hai maara to kuchh she'r kah diye
warna hai aashna mein kahaan kuchh hunar-vunar
ख़ुद को समेटने में थी इतनी अगर-मगर
बिखरा पड़ा हूँ आज भी तेरे इधर-उधर
अपनी कमी से कह दो कि शिद्दत से तो रहे
देखो कि रह न जाए कहीं कुछ कसर-वसर
इक रोज़ तुम भी तो ज़रा ख़ुद से निकल मिलो
तय कर लिए हैं मैं ने तो सारे सफ़र-वफ़र
नफ़रत तिरी या प्यार हो ग़म हो शराब हो
मुमकिन नहीं है थोड़े में अपनी गुज़र-बसर
तू क्या गई मैं हो गया हूँ सख़्त-जान माँ
लगती नहीं है अब तो मुझे कुछ नज़र-वज़र
मुद्दत से कुछ भी तो तेरी चलती नहीं ख़ुदा
रक्खा तू कर जहान की भी कुछ ख़बर-वबर
बस इश्क़ का है मारा तो कुछ शे'र कह दिए
वर्ना है ‘आश्ना’ में कहाँ कुछ हुनर-वुनर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vineet Aashna
our suggestion based on Vineet Aashna
As you were reading Sharaab Shayari Shayari