faisla us paar ya is paar hona chahiye
kyun junoon-e-ishq ko manjhdhaar hona chahiye
phool saare hi chaman ke daad ke hain mustehiq
ishq aakhir kyun faqat ik baar hona chahiye
ishq ka izhaar itna aur amal kuchh bhi nahin
aap ka to naam hi sarkaar hona chahiye
main nahin to kya hazaaron aur taare hain yahan
kyun kisi bhi raat ko bezaar hona chahiye
umr bhar aankhon ne tere hijr mein roza rakha
zindagi ki shaam hai iftaar hona chahiye
tujh ko maanga jab dua mein hans ke ye bole khuda
zindagi mein kuchh na kuchh dushwaar hona chahiye
aashna kuchh kaam karte ho to ho kis kaam ke
tum to sha'ir ho tumhein be-kaar hona chahiye
फ़ैसला उस पार या इस पार होना चाहिए
क्यों जुनून-ए-इश्क़ को मँझधार होना चाहिए
फूल सारे ही चमन के दाद के हैं मुस्तहिक़
इश्क़ आख़िर क्यों फ़क़त इक बार होना चाहिए
इश्क़ का इज़हार इतना और अमल कुछ भी नहीं
आप का तो नाम ही सरकार होना चाहिए
मैं नहीं तो क्या हज़ारों और तारे हैं यहाँ
क्यों किसी भी रात को बेज़ार होना चाहिए
उम्र भर आँखों ने तेरे हिज्र में रोज़ा रखा
ज़िंदगी की शाम है इफ़्तार होना चाहिए
तुझ को माँगा जब दुआ में हँस के ये बोले ख़ुदा
ज़िंदगी में कुछ न कुछ दुश्वार होना चाहिए
'आश्ना' कुछ काम करते हो तो हो किस काम के
तुम तो शाइ'र हो तुम्हें बे-कार होना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vineet Aashna
our suggestion based on Vineet Aashna
As you were reading Justice Shayari Shayari