us ke dil mein bhi zara si chatpataahat chhod den | उस के दिल में भी ज़रा सी छटपटाहट छोड़ दें

  - Vineet Aashna

us ke dil mein bhi zara si chatpataahat chhod den
jaate jaate us ke dar par apni aahat chhod den

jaam-e-saaqi may-kade sab chhod to aaye magar
ye nahin mumkin ham apni ladkhadahaat chhod den

kya karenge ham qafas ko chhod kar zer-e-falak
shart jab ye hai ki apni fadfadaahat chhod den

chhodne ko chhod denge zindagi bhi shauq se
vo kisi din bas zara jo hichkichahat chhod den

kaam aayenge yahi bose udaasi ke khilaaf
ek dooje ke labon par muskuraahat chhod den

us se milne ja rahe hain theek se taiyyaar hon
ye na ho jaldi mein apni hadbadaahat chhod den

aashna ho jaayega mausam gulaabi shehar ka
ham tire aane ki bas jo sugbugaahat chhod den

उस के दिल में भी ज़रा सी छटपटाहट छोड़ दें
जाते जाते उस के दर पर अपनी आहट छोड़ दें

जाम-ए-साक़ी मय-कदे सब छोड़ तो आए मगर
ये नहीं मुमकिन हम अपनी लड़खड़ाहट छोड़ दें

क्या करेंगे हम क़फ़स को छोड़ कर ज़ेर-ए-फ़लक
शर्त जब ये है कि अपनी फड़फड़ाहट छोड़ दें

छोड़ने को छोड़ देंगे ज़िंदगी भी शौक़ से
वो किसी दिन बस ज़रा जो हिचकिचाहट छोड़ दें

काम आएँगे यही बोसे उदासी के ख़िलाफ़
एक दूजे के लबों पर मुस्कुराहट छोड़ दें

उस से मिलने जा रहे हैं ठीक से तय्यार हों
ये न हो जल्दी में अपनी हड़बड़ाहट छोड़ दें

'आश्ना' हो जाएगा मौसम गुलाबी शहर का
हम तिरे आने की बस जो सुगबुगाहट छोड़ दें

  - Vineet Aashna

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vineet Aashna

As you were reading Shayari by Vineet Aashna

Similar Writers

our suggestion based on Vineet Aashna

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari