sab zaroorat ka to samaan hai ghar mein rahiye
kya hua gar koi halkaan hai ghar mein rahiye
bheed mein bhi na the seene se lagaane waale
aaj to shehar hi veeraan hai ghar mein rahiye
saans ghut jaayegi deewaron ke ke andar ik din
aur sunte hain ki darmaan hai ghar mein rahiye
band hain mandir o masjid ki dukanein saari
aaj bazaar ye sunsaan hai ghar mein rahiye
kal talak mulk se baahar jo kiye dete the
ab to un ka bhi ye farmaan hai ghar mein rahiye
har marz mein nahin hoti hai suhoolat itni
bhook se marna to aasaan hai ghar mein rahiye
qaid phir qaid hi hoti hai magar hasb-e-haal
sab se behtar yahi zindaan hai ghar mein rahiye
aap dil se mujhe be-dakhil kiye dete hain
ab to sarkaar ka elaan hai ghar mein rahiye
us ki tasveer in aankhon ke liye kaafi hai
aur phir meer ka deewaan hai ghar mein rahiye
सब ज़रूरत का तो सामान है घर में रहिए
क्या हुआ गर कोई हलकान है घर में रहिए
भीड़ में भी न थे सीने से लगाने वाले
आज तो शहर ही वीरान है घर में रहिए
साँस घुट जाएगी दीवारों के के अंदर इक दिन
और सुनते हैं कि दरमान है घर में रहिए
बंद हैं मंदिर ओ मस्जिद की दुकानें सारी
आज बाज़ार ये सुनसान है घर में रहिए
कल तलक मुल्क से बाहर जो किए देते थे
अब तो उन का भी ये फ़रमान है घर में रहिए
हर मरज़ में नहीं होती है सुहूलत इतनी
भूक से मरना तो आसान है घर में रहिए
क़ैद फिर क़ैद ही होती है मगर हस्ब-ए-हाल
सब से बेहतर यही ज़िंदान है घर में रहिए
आप दिल से मुझे बे-दख़्ल किए देते हैं
अब तो सरकार का एलान है घर में रहिए
उस की तस्वीर इन आँखों के लिए काफ़ी है
और फिर मीर का दीवान है घर में रहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vineet Aashna
our suggestion based on Vineet Aashna
As you were reading Pandemic Shayari Shayari