saare sitaaron ke humeen tanhaa raqeeb the
ham ek shab to chaand ke itne qareeb the
haathon ko ye gila hain bade kam-naseeb ham
aankhen ye sochti hain ki ham khush-naseeb the
rakhi hai aap hi ke liye jaan sanbhaal kar
yun shehar mein kuchh aur bhi husn-e-saleeb the
ham mein hi kuchh kami thi jo samjhe na ja sake
warna hamaare dost to saare adeeb the
hairaan hain ham aaine mein khud ko dekh kar
jaanaan tumhaare shauq bhi kitne ajeeb the
सारे सितारों के हमीं तन्हा रक़ीब थे
हम एक शब तो चाँद के इतने क़रीब थे
हाथों को ये गिला हैं बड़े कम-नसीब हम
आँखें ये सोचती हैं कि हम ख़ुश-नसीब थे
रक्खी है आप ही के लिए जाँ सँभाल कर
यूँ शहर में कुछ और भी हुस्न-ए-सलीब थे
हम में ही कुछ कमी थी जो समझे न जा सके
वर्ना हमारे दोस्त तो सारे अदीब थे
हैरान हैं हम आइने में ख़ुद को देख कर
जानाँ तुम्हारे शौक़ भी कितने अजीब थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vineet Aashna
our suggestion based on Vineet Aashna
As you were reading Shahr Shayari Shayari