khwaab khush-fahmi khushi sab kuchh mita kar rakh diya
us ne do hi roz mein mujh ko bhula kar rakh diya
ye karishma kam se kam insaan ke bas ka nahin
kis ne phir patthar pe ye paudha ugaa kar rakh diya
sab ki nazaron mein ye daulat aa na jaaye is liye
main ne tera dard ghazalon mein chhupa kar rakh diya
tark-e-may karne hi waala tha magar ab kya karoon
jaam saaqi ne mere haathon pe la kar rakh diya
sirf asli baat hi boli nahin kambakht ne
kul-jahaan ka yun to afsaana suna kar rakh diya
kya haseen kya pur-sukoon sapna adhoora rah gaya
aur so lene diya hota jaga kar rakh diya
ai akela ho gai apni bhi ruswaai bahut
ham ne us rukh se magar parda hata kar rakh diya
ख़्वाब ख़ुश-फ़हमी ख़ुशी सब कुछ मिटा कर रख दिया
उस ने दो ही रोज़ में मुझ को भुला कर रख दिया
ये करिश्मा कम से कम इंसान के बस का नहीं
किस ने फिर पत्थर पे ये पौधा उगा कर रख दिया
सब की नज़रों में ये दौलत आ न जाए इस लिए
मैं ने तेरा दर्द ग़ज़लों में छुपा कर रख दिया
तर्क-ए-मय करने ही वाला था मगर अब क्या करूँ
जाम साक़ी ने मिरे हाथों पे ला कर रख दिया
सिर्फ़ असली बात ही बोली नहीं कम्बख़्त ने
कुल-जहाँ का यूँ तो अफ़्साना सुना कर रख दिया
क्या हसीं क्या पुर-सुकूँ सपना अधूरा रह गया
और सो लेने दिया होता जगा कर रख दिया
ऐ 'अकेला' हो गई अपनी भी रुस्वाई बहुत
हम ने उस रुख़ से मगर पर्दा हटा कर रख दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Virendra Khare Akela
our suggestion based on Virendra Khare Akela
As you were reading One sided love Shayari Shayari