kyun tiri qand-labi khush-sukhani yaad aayi | क्यूँ तिरी क़ंद-लबी ख़ुश-सुख़नी याद आई

  - Waheed Akhtar

kyun tiri qand-labi khush-sukhani yaad aayi
zahar-afshaani-e-dunya-e-dani yaad aayi

pai-gul-gasht-e-chaman phir dil-e-deewaana chala
phir tiri sarv-qadi gul-badani yaad aayi

jab kisi jism pe sajte hue dekha hai libaas
teri khush-qaaamati khush-pairhani yaad aayi

yun nibaaha tira vaada tire gham ne barson
gham-e-ayyaam ki paimaan-shikni yaad aayi

jaam uthaate hi dil umdaa to bhar aayein aankhen
chashm-e-saaqi tiri saagar-shikni yaad aayi

yaad aayi na kabhi be-sar-o-saamaani mein
dekh kar ghar ko ghareeb-ul-watani yaad aayi

aaj dikhlaate gul-afshaani-e-guftaar waheed
lag gai chup jo vo guncha-dahni yaad aayi

क्यूँ तिरी क़ंद-लबी ख़ुश-सुख़नी याद आई
ज़हर-अफ़्शानी-ए-दुन्या-ए-दनी याद आई

पए-गुल-गश्त-ए-चमन फिर दिल-ए-दीवाना चला
फिर तिरी सर्व-क़दी गुल-बदनी याद आई

जब किसी जिस्म पे सजते हुए देखा है लिबास
तेरी ख़ुश-क़ामती ख़ुश-पैरहनी याद आई

यूँ निबाहा तिरा वादा तिरे ग़म ने बरसों
ग़म-ए-अय्याम की पैमाँ-शिकनी याद आई

जाम उठाते ही दिल उमडा तो भर आईं आँखें
चश्म-ए-साक़ी तिरी साग़र-शिकनी याद आई

याद आई न कभी बे-सर-ओ-सामानी में
देख कर घर को ग़रीब-उल-वतनी याद आई

आज दिखलाते गुल-अफ़्शानी-ए-गुफ़्तार 'वहीद'
लग गई चुप जो वो ग़ुंचा-दहनी याद आई

  - Waheed Akhtar

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waheed Akhtar

As you were reading Shayari by Waheed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari