apne har har lafz ka khud aaina ho jaaunga | अपने हर हर लफ़्ज़ का ख़ुद आईना हो जाऊंगा

  - Waseem Barelvi

apne har har lafz ka khud aaina ho jaaunga
us ko chhota kah ke main kaise bada ho jaaunga

tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin
main gira to mas'ala ban kar khada ho jaaunga

mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar
raasta roka gaya to qaafila ho jaaunga

saari duniya ki nazar mein hai mera ahad-e-wafaa
ik tire kehne se kya main bewafa ho jaaunga

अपने हर हर लफ़्ज़ का ख़ुद आईना हो जाऊंगा
उस को छोटा कह के मैं कैसे बड़ा हो जाऊंगा

तुम गिराने में लगे थे तुम ने सोचा ही नहीं
मैं गिरा तो मसअला बन कर खड़ा हो जाऊंगा

मुझ को चलने दो अकेला है अभी मेरा सफ़र
रास्ता रोका गया तो क़ाफ़िला हो जाऊंगा

सारी दुनिया की नज़र में है मिरा अहद-ए-वफ़ा
इक तिरे कहने से क्या मैं बेवफ़ा हो जाऊंगा

  - Waseem Barelvi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waseem Barelvi

As you were reading Shayari by Waseem Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Barelvi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari