bhaagte saayo ke peeche ta-b-kai dauda karein
zindagi tu hi bata kab tak tira peecha karein
roo-e-gul ho chehra-e-mahtaab ho ya husn-e-dost
har chamakti cheez ko kuchh door se dekha karein
be-niyaazi khud saraapa iltijaa ban jaayegi
aap apni dastaan mein husn to paida karein
dil ki tha khush-fahm aagaah-e-haqeeqat ho gaya
shukr bhejen ya tiri bedaad ka shikwa karein
mugbachon se mohtasib tak saikron darbaar hain
ek saaghar ke liye kis kis ko ham sajda karein
tishnagi had se badhi hai mashghala koi nahin
sheesha-o-saaghar na todhen baada-kash to kya karein
doosron par tabsira farmaane se pehle hafiz
apne daaman ki taraf bhi ik nazar dekha karein
भागते सायों के पीछे ता-ब-कै दौड़ा करें
ज़िंदगी तू ही बता कब तक तिरा पीछा करें
रू-ए-गुल हो चेहरा-ए-महताब हो या हुस्न-ए-दोस्त
हर चमकती चीज़ को कुछ दूर से देखा करें
बे-नियाज़ी ख़ुद सरापा इल्तिजा बन जाएगी
आप अपनी दास्ताँ में हुस्न तो पैदा करें
दिल कि था ख़ुश-फ़हम आगाह-ए-हक़ीक़त हो गया
शुक्र भेजें या तिरी बेदाद का शिकवा करें
मुग़्बचों से मोहतसिब तक सैकड़ों दरबार हैं
एक साग़र के लिए किस किस को हम सज्दा करें
तिश्नगी हद से बढ़ी है मश्ग़ला कोई नहीं
शीशा-ओ-साग़र न तोड़ें बादा-कश तो क्या करें
दूसरों पर तब्सिरा फ़रमाने से पहले 'हफ़ीज़'
अपने दामन की तरफ़ भी इक नज़र देखा करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Kamar Shayari Shayari