jahaan dariya kahi apne kinaare chhod deta hai
koi uthata hai aur toofaan ka rukh mod deta hai
mujhe be-dast-o-pa kar ke bhi khauf us ka nahin jaata
kahi bhi haadisa guzre vo mujh se jod deta hai
bichhad ke tujh se kuchh jaana agar to is qadar jaana
vo mitti hoonjise dariya kinaare chhod deta hai
mohabbat mein zara si bewafaai to zaroori hai
wahi achha bhi lagta hai jo vaade tod deta hai
जहां दरिया कहीं अपने किनारे छोड़ देता है
कोई उठता है और तूफ़ान का रुख़ मोड़ देता है
मुझे बे-दस्त-ओ-पा कर के भी ख़ौफ़ उस का नहीं जाता
कहीं भी हादिसा गुज़रे वो मुझ से जोड़ देता है
बिछड़ के तुझ से कुछ जाना अगर तो इस क़दर जाना
वो मिट्टी हूंजिसे दरिया किनारे छोड़ देता है
मोहब्बत में ज़रा सी बेवफ़ाई तो ज़रूरी है
वही अच्छा भी लगता है जो वादे तोड़ देता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Dar Shayari Shayari