haadson ki zad pe hain to muskurana chhod den
zalzalon ke khauf se kya ghar banaana chhod den
tum ne mere ghar na aane ki qasam khaai to hai
aansuon se bhi kaho aankhon mein aana chhod den
pyaar ke dushman kabhi to pyaar se kah ke to dekh
ek tera dar hi kya ham to zamaana chhod den
ghonsle veeraan hain ab vo parinde hi kahaan
ik basere ke liye jo aab-o-daana chhod den
हादसों की ज़द पे हैं तो मुस्कुराना छोड़ दें
ज़लज़लों के ख़ौफ़ से क्या घर बनाना छोड़ दें
तुम ने मेरे घर न आने की क़सम खाई तो है
आँसुओं से भी कहो आँखों में आना छोड़ दें
प्यार के दुश्मन कभी तो प्यार से कह के तो देख
एक तेरा दर ही क्या हम तो ज़माना छोड़ दें
घोंसले वीरान हैं अब वो परिंदे ही कहाँ
इक बसेरे के लिए जो आब-ओ-दाना छोड़ दें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Nafrat Shayari Shayari