ham apne aap ko ik mas'ala bana na sake
isee liye to kisi ki nazar mein aa na sake
ham aansuon ki tarah vaaste nibha na sake
rahe jin aankhon mein un mein hi ghar bana na sake
phir aandhiyon ne sikhaaya wahan safar ka hunar
jahaan charaagh hamein raasta dikha na sake
jo pesh pesh the basti bachaane waalon mein
lagi jab aag to apna bhi ghar bacha na sake
mere khuda kisi aisi jagah use rakhna
jahaan koi mere baare mein kuchh bata na sake
tamaam umr ki koshish ka bas yahi haasil
kisi ko apne mutaabiq koi bana na sake
tasalliyon pe bahut din jiya nahin jaata
kuchh aisa ho ke tira e'tibaar aa na sake
हम अपने आप को इक मसअला बना न सके
इसी लिए तो किसी की नज़र में आ न सके
हम आँसुओं की तरह वास्ते निभा न सके
रहे जिन आँखों में उन में ही घर बना न सके
फिर आँधियों ने सिखाया वहाँ सफ़र का हुनर
जहाँ चराग़ हमें रास्ता दिखा न सके
जो पेश पेश थे बस्ती बचाने वालों में
लगी जब आग तो अपना भी घर बचा न सके
मिरे ख़ुदा किसी ऐसी जगह उसे रखना
जहाँ कोई मिरे बारे में कुछ बता न सके
तमाम उम्र की कोशिश का बस यही हासिल
किसी को अपने मुताबिक़ कोई बना न सके
तसल्लियों पे बहुत दिन जिया नहीं जाता
कुछ ऐसा हो के तिरा ए'तिबार आ न सके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Aawargi Shayari Shayari