daulat-e-dard sameto ki bikharna ko hai
raat ka aakhiri lamha bhi guzarne ko hai
khisht-dar-khisht aqeedat ne banaya jis ko
abr-e-aazaar usi ghar pe thehrne ko hai
kisht-e-barbaad se tajdeed-e-wafa kar dekho
ab to daryaon ka paani bhi utarne ko hai
apni aankhon mein wahi aks liye firte hain
jaise aainaa-e-maqsoom sanwarne ko hai
jo duboyegi na pahunchayegi saahil pe hamein
ab wahi mauj samundar se ubharne ko hai
kunj-e-tanhaai mein khilta hai takhayyul mera
aur main khush hoon ki ye gul phir se nikharne ko hai
दौलत-ए-दर्द समेटो कि बिखरने को है
रात का आख़िरी लम्हा भी गुज़रने को है
ख़िश्त-दर-ख़िश्त अक़ीदत ने बनाया जिस को
अब्र-ए-आज़ार उसी घर पे ठहरने को है
किश्त-ए-बर्बाद से तजदीद-ए-वफ़ा कर देखो
अब तो दरियाओं का पानी भी उतरने को है
अपनी आँखों में वही अक्स लिए फिरते हैं
जैसे आईना-ए-मक़्सूम सँवरने को है
जो डुबोएगी न पहुँचाएगी साहिल पे हमें
अब वही मौज समुंदर से उभरने को है
कुंज-ए-तन्हाई में खिलता है तख़य्युल मेरा
और मैं ख़ुश हूँ कि ये गुल फिर से निखरने को है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yasmeen Hameed
our suggestion based on Yasmeen Hameed
As you were reading Neend Shayari Shayari