hamaari dastaras mein kya hai kya nahin | हमारी दस्तरस में क्या है क्या नहीं

  - Zafar Zaidi

hamaari dastaras mein kya hai kya nahin
zameen nahin
khala nahin
ki aasmaan nahin
hamein to sirf sochna ye chahiye
ki mutthiyaan khuli rahein
hateliyon se ungaliyaan judi rahein
zameen se paanv
paanv se qadam
qadam se raaston ka silsila bana rahe
hamein to sirf dekhna ye chahiye
ki jis ko log radd karein
aur apni deed ki ghaleez chadaron se dhanp kar shikaayaton se baandh den
hamaare jism maavra hon us ghilaaf se
hamaari dastaras mein kya hai kya nahin
bas yahi to shart hai
hamaare jism an-ginat rahein
magar hamaare sar jude rahein
ragon mein pyaar ka lahu ravaan rahe badan badan jawaan rahe
zameen rahe khala rahe na aasmaan rahe
magar hamein yahi gumaan rahe
hamaari dastaras mein kya nahin

हमारी दस्तरस में क्या है क्या नहीं
ज़मीं नहीं
ख़ला नहीं
कि आसमाँ नहीं
हमें तो सिर्फ़ सोचना ये चाहिए
कि मुट्ठियाँ खुली रहें
हथेलियों से उँगलियाँ जुड़ी रहें
ज़मीं से पाँव
पाँव से क़दम
क़दम से रास्तों का सिलसिला बना रहे
हमें तो सिर्फ़ देखना ये चाहिए
कि जिस को लोग रद्द करें
और अपनी दीद की ग़लीज़ चादरों से ढाँप कर शिकायतों से बाँध दें
हमारे जिस्म मावरा हों उस ग़िलाफ़ से
हमारी दस्तरस में क्या है क्या नहीं
बस यही तो शर्त है
हमारे जिस्म अन-गिनत रहें
मगर हमारे सर जुड़े रहें
रगों में प्यार का लहू रवाँ रहे बदन बदन जवाँ रहे
ज़मीं रहे ख़ला रहे न आसमाँ रहे
मगर हमें यही गुमाँ रहे
हमारी दस्तरस में क्या नहीं

  - Zafar Zaidi

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zafar Zaidi

As you were reading Shayari by Zafar Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Zafar Zaidi

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari