meherbaan sa'at ne | मेहरबाँ साअ'त ने

  - Zafar Zaidi

meherbaan sa'at ne
apni god mein
phoolon ka guldasta sajaaya
hawaon ko bulaaya
aur kaha dekho
zameen se aasmaan tak
hadd-e-takhayyul-o-bayaan tak
makaan se la-makaan tak
tum jahaan tak jaao
meri khushbuen hamraah le jaao
ki imshab arsh se aisa sitaara main ne paaya
ki ghar mera munavvar ho gaya
aaj hi ke din hamaare dar pe suraj ne sada di thi
yahi vo din hai jab
ham par hamaare ghar ke darwaaze khule the

मेहरबाँ साअ'त ने
अपनी गोद में
फूलों का गुलदस्ता सजाया
हवाओं को बुलाया
और कहा देखो
ज़मीं से आसमाँ तक
हद्द-ए-तख़य्युल-ओ-बयाँ तक
मकाँ से ला-मकाँ तक
तुम जहाँ तक जाओ
मेरी ख़ुशबुएँ हमराह ले जाओ
कि इमशब अर्श से ऐसा सितारा मैं ने पाया
कि घर मेरा मुनव्वर हो गया
आज ही के दिन हमारे दर पे सूरज ने सदा दी थी
यही वो दिन है जब
हम पर हमारे घर के दरवाज़े खुले थे

  - Zafar Zaidi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zafar Zaidi

As you were reading Shayari by Zafar Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Zafar Zaidi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari