ziyaada kuchh nahin himmat to kar hi sakte hain | ज़ियादा कुछ नहीं हिम्मत तो कर ही सकते हैं

  - Zia Mazkoor

ziyaada kuchh nahin himmat to kar hi sakte hain
ik achhe kaam ki niyat to kar hi sakte hain

khuda ke haath se likkha muqaddar apni jagah
ham uske bande hain mehnat to kar hi sakte hain

gareeb log marammat na kar saken to kya
shikasta ghar ki hifazat to kar hi sakte hain

hamaare bacche ijaazat talab nahin karte
magar bataane ki zahmat to kar hi sakte hain

hazaaron saal guzaare hain muqtedi rah kar
ik-aadh baar imaamat to kar hi sakte hain

to kya hua jo shareeke-hayaat ban na sake
tumhaari shaadi mein shirkat to kar hi sakte hain

ज़ियादा कुछ नहीं हिम्मत तो कर ही सकते हैं
इक अच्छे काम की नीयत तो कर ही सकते हैं

ख़ुदा के हाथ से लिक्खा मुक़द्दर अपनी जगह
हम उसके बन्दे हैं मेहनत तो कर ही सकते हैं

ग़रीब लोग मरम्मत न कर सकें तो क्या
शिकस्ता घर की हिफ़ाज़त तो कर ही सकते हैं

हमारे बच्चे इजाज़त तलब नहीं करते
मगर बताने की ज़हमत तो कर ही सकते हैं

हज़ारों साल गुज़ारे हैं मुक़तदी रह कर
इक-आध बार इमामत तो कर ही सकते हैं

तो क्या हुआ जो शरीके-हयात बन न सके
तुम्हारी शादी में शिरकत तो कर ही सकते हैं

  - Zia Mazkoor

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Zia Mazkoor

As you were reading Shayari by Zia Mazkoor

Similar Writers

our suggestion based on Zia Mazkoor

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari