apne bacchon se bahut darta hoon main
bilkul apne baap ke jaisa hoon main
jinko aasaani se mil jaata hoon main
vo samjhte hai bahut sasta hoon main
ja nadi se poonch sharaabi meri
kis ghade ne kah diya pyaasa hoon main
meri khwaahish hai ki darwaaza khule
varna khidki se bhi aa saka hoon main
doosre bas tod sakte hai mujhe
sirf apni chaabi se khulta hoon main
अपने बच्चों से बहुत डरता हूँ मैं
बिल्कुल अपने बाप के जैसा हूँ मैं
जिनको आसानी से मिल जाता हूँ मैं
वो समझते है बहुत सस्ता हूँ मैं
जा नदी से पूँछ शैराबी मेरी
किस घड़े ने कह दिया प्यासा हूँ मैं
मेरी ख्वाहिश है कि दरवाजा खुले
वरना खिड़की से भी आ सकता हूँ मैं
दूसरे बस तोड़ सकते है मुझे
सिर्फ अपनी चाबी से खुलता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Zubair Ali Tabish
our suggestion based on Zubair Ali Tabish
As you were reading Nasha Shayari Shayari