vo paas kya zara sa muskuraa ke baith gaya | वो पास क्या ज़रा सा मुस्कुरा के बैठ गया

  - Zubair Ali Tabish

vo paas kya zara sa muskuraa ke baith gaya
main is mazaak ko dil se laga ke baith gaya

jab us ki bazm mein daar-o-rasan ki baat chali
main jhat se uth gaya aur aage aa ke baith gaya

darakht kaat ke jab thak gaya lakad-haara
to ik darakht ke saaye mein ja ke baith gaya

tumhaare dar se main kab uthna chahta tha magar
ye mera dil hai ki mujh ko utha ke baith gaya

jo mere vaaste kursi lagaaya karta tha
vo meri kursi se kursi laga ke baith gaya

phir us ke ba'ad kai log uth ke jaane lage
main uth ke jaane ka nuskha bata ke baith gaya

वो पास क्या ज़रा सा मुस्कुरा के बैठ गया
मैं इस मज़ाक़ को दिल से लगा के बैठ गया

जब उस की बज़्म में दार-ओ-रसन की बात चली
मैं झट से उठ गया और आगे आ के बैठ गया

दरख़्त काट के जब थक गया लकड़-हारा
तो इक दरख़्त के साए में जा के बैठ गया

तुम्हारे दर से मैं कब उठना चाहता था मगर
ये मेरा दिल है कि मुझ को उठा के बैठ गया

जो मेरे वास्ते कुर्सी लगाया करता था
वो मेरी कुर्सी से कुर्सी लगा के बैठ गया

फिर उस के बा'द कई लोग उठ के जाने लगे
मैं उठ के जाने का नुस्ख़ा बता के बैठ गया

  - Zubair Ali Tabish

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zubair Ali Tabish

As you were reading Shayari by Zubair Ali Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Zubair Ali Tabish

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari