main jahaan tha wahin rah gaya maazrat
ai zameen maazrat ai khuda maazrat
kuchh bataate hue kuchh chhupaate hue
main hansa maazrat ro diya maazrat
khud tumhaari jagah ja ke dekha hai aur
khud se kii hai tumhaari jagah maazrat
jo hua jaane kaise hua kya khabar
jo kiya vo nahin ho saka maazrat
main ki khud ko bachaane kii koshish mein tha
ek din main ne khud se kaha maazrat
mujh se giryaa mukammal nahin ho saka
main ne deewaar par likh diya maazrat
main bahut door hoon shaam nazdeek hai
shaam ko do sada shukriya maazrat
मैं जहाँ था वहीं रह गया माज़रत
ऐ ज़मीं माज़रत ऐ ख़ुदा माज़रत
कुछ बताते हुए कुछ छुपाते हुए
मैं हँसा माज़रत रो दिया माज़रत
ख़ुद तुम्हारी जगह जा के देखा है और
ख़ुद से की है तुम्हारी जगह माज़रत
जो हुआ जाने कैसे हुआ क्या ख़बर
जो किया वो नहीं हो सका माज़रत
मैं कि ख़ुद को बचाने की कोशिश में था
एक दिन मैं ने ख़ुद से कहा माज़रत
मुझ से गिर्या मुकम्मल नहीं हो सका
मैं ने दीवार पर लिख दिया माज़रत
मैं बहुत दूर हूँ शाम नज़दीक है
शाम को दो सदा शुक्रिया माज़रत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Zulfiqar aadil
our suggestion based on Zulfiqar aadil
As you were reading Khuda Shayari Shayari