kaanpa tha khuda bhi tab ye qahar banaane mein
ye ishq banaakar phir ye dehr banaane mein
ghar doobe hain logon ke is bhari sunaami mein
vo chaand hi hai shaamil ye lehar banaane mein
sab gaav hain veeraan ab aur poochta hai shahri
kya haath hai inka bhi ye shehar banaane mein
yaari hai muhabbat se aur dard se hai shaani
manthan mein tha amrit hi ye zahar banaane mein
in shaairon mein hota ik naam ye saurabh bhi
mehnat na koi karta jo bahar banaane mein
काँपा था ख़ुदा भी तब ये क़हर बनाने में
ये इश्क़ बनाकर फिर ये दहर बनाने में
घर डूबे हैं लोगों के इस भारी सुनामी में
वो चाँद ही है शामिल ये लहर बनाने में
सब गाँव हैं वीराँ अब और पूछता है शहरी
क्या हाथ है इनका भी ये शहर बनाने में
यारी है मुहब्बत से और दर्द से है शानी
मंथन में था अमृत ही ये ज़हर बनाने में
इन शाइरों में होता इक नाम ये सौरभ भी
मेहनत न कोई करता जो बहर बनाने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by 100rav
our suggestion based on 100rav
As you were reading Berozgari Shayari Shayari