kasak dil ki mitaane mein zara si der lagti hai | कसक दिल की मिटाने में ज़रा सी देर लगती है - Aadil Rahi

kasak dil ki mitaane mein zara si der lagti hai
kisi ka gham bhulaane mein zara si der lagti hai

kisi ko chaah kar apna banaana theek hai lekin
mohabbat aazmaane mein zara si der lagti hai

tumhein paane ki khwaahish mein hua ehsaas ye mujh ko
muqaddar aazmaane mein zara si der lagti hai

jise minnat muraadon se badi mushkil se paaya ho
use dil se bhulaane mein zara si der lagti hai

ki jis dil ki zameen barson se banjar ho to phir us par
nayi chaahat ugaane mein zara si der lagti hai

ghazal padh kar to aasaani se mehfil loot sakte ho
magar izzat kamaane mein zara si der lagti hai

dil-e-muztar ko aakhir kaun samjhaayega ai raahi
sukoon-e-qalb paane mein zara si der lagti hai

कसक दिल की मिटाने में ज़रा सी देर लगती है
किसी का ग़म भुलाने में ज़रा सी देर लगती है

किसी को चाह कर अपना बनाना ठीक है लेकिन
मोहब्बत आज़माने में ज़रा सी देर लगती है

तुम्हें पाने की ख़्वाहिश में हुआ एहसास ये मुझ को
मुक़द्दर आज़माने में ज़रा सी देर लगती है

जिसे मिन्नत मुरादों से बड़ी मुश्किल से पाया हो
उसे दिल से भुलाने में ज़रा सी देर लगती है

कि जिस दिल की ज़मीं बरसों से बंजर हो तो फिर उस पर
नई चाहत उगाने में ज़रा सी देर लगती है

ग़ज़ल पढ़ कर तो आसानी से महफ़िल लूट सकते हो
मगर इज़्ज़त कमाने में ज़रा सी देर लगती है

दिल-ए-मुज़्तर को आख़िर कौन समझाएगा ऐ 'राही'
सुकून-ए-क़ल्ब पाने में ज़रा सी देर लगती है

- Aadil Rahi
6 Likes

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aadil Rahi

As you were reading Shayari by Aadil Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Aadil Rahi

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari