kitna mushkil tha kaam kar daala | कितना मुश्किल था काम कर डाला

  - Aqib khan

kitna mushkil tha kaam kar daala
dil ka qissa tamaam kar daala

teri kaarigari ke kya kehne
mujhko chhalaka ke jaam kar daala

dard lekar ke dard paala hai
dard apna ghulaam kar daala

gussa tujh par nikaal paaye nahin
khud ka jeena haraam kar daala

mujhko uski talash hai jisne
kuchh kiye bin hi naam kar daala

isliye qadr ab nahin hoti
khud ko ziyaada hi aam kar daala

कितना मुश्किल था काम कर डाला
दिल का क़िस्सा तमाम कर डाला

तेरी कारीगरी के क्या कहने
मुझको छलका के जाम कर डाला

दर्द लेकर के दर्द पाला है
दर्द अपना गुलाम कर डाला

गुस्सा तुझ पर निकाल पाए नहीं
ख़ुद का जीना हराम कर डाला

मुझको उसकी तलाश है जिसने
कुछ किए बिन ही नाम कर डाला

इसलिए क़द्र अब नहीं होती
ख़ुद को ज़्यादा ही आम कर डाला

  - Aqib khan

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aqib khan

As you were reading Shayari by Aqib khan

Similar Writers

our suggestion based on Aqib khan

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari