kyun mujhe kuchh bhi yahan achha nahin lagta hai ab | क्यों मुझे कुछ भी यहाँ अच्छा नहीं लगता है अब

  - Aqib khan

kyun mujhe kuchh bhi yahan achha nahin lagta hai ab
sach kahoon to ye jahaan achha nahin lagta hai ab

umr bhar ham saath hain ye to na bolo mujhse tum
jhoota vaada jaan ae jaan achha nahin lagta hai ab

ho agar kuchh kaam to phir baat bhi kar lenge ham
ishq ka charcha miyaan achha nahin lagta hai ab

kuchh khabar ab tak nahin hai jaana hai hamko kahaan
chalna aise raayegaan achha nahin lagta hai ab

chaand taaron ke barabar bola tha ik shakhs ko
so chamakta aasmaan achha nahin lagta hai ab

waqt ki hi baat hai jo mere peeche the kabhi
unko mera kaarwaan achha nahin lagta hai ab

क्यों मुझे कुछ भी यहाँ अच्छा नहीं लगता है अब
सच कहूंँ तो ये जहाँ अच्छा नहीं लगता है अब

उम्र भर हम साथ हैं ये तो न बोलो मुझसे तुम
झूठा वादा जान ए जाँ अच्छा नहीं लगता है अब

हो अगर कुछ काम तो फिर बात भी कर लेंगे हम
इश्क़ का चर्चा मियाँ अच्छा नहीं लगता है अब

कुछ ख़बर अब तक नहीं है जाना है हमको कहाँ
चलना ऐसे राएगाँ अच्छा नहीं लगता है अब

चाँद तारों के बराबर बोला था इक शख्स को
सो चमकता आसमाँ अच्छा नहीं लगता है अब

वक़्त की ही बात है जो मेरे पीछे थे कभी
उनको मेरा कारवाँ अच्छा नहीं लगता है अब

  - Aqib khan

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aqib khan

As you were reading Shayari by Aqib khan

Similar Writers

our suggestion based on Aqib khan

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari