sab barabar karna hai to phir tu mujhko ye bata
badle mein tujhpar yakeen ke mujhko aakhir kya mila
dono ki marzi thi shaamil dono ne vaade kiye
phir bichhadne par milegi kyun faqat ik ko saza
tum ho achhe log so ab tum duaaein do use
jab bhi uski baat hogi main to doonga baddua
saath mein milkar chalo phir se guzaaren zindagi
kam sunaai de rahi hai phir se bolo kya kaha
kuchh nahin badla zamaane ke badal jaane se bhi
fir se ik doli uthi phir shakhs ik paagal hua
main nujoomi to nahin hoon par bata saka hoon main
tu hai jitna khoobsurat utna hi hai bewafa
सब बराबर करना है तो फिर तू मुझको ये बता
बदले में तुझपर यकीं के मुझको आख़िर क्या मिला
दोनों की मर्ज़ी थी शामिल दोनों ने वादे किए
फिर बिछड़ने पर मिलेगी क्यों फ़क़त इक को सज़ा
तुम हो अच्छे लोग सो अब तुम दुआएँ दो उसे
जब भी उसकी बात होगी मैं तो दूँगा बद्दुआ
साथ में मिलकर चलो फिर से गुज़ारें ज़िन्दगी
कम सुनाई दे रही है फिर से बोलो क्या कहा
कुछ नहीं बदला ज़माने के बदल जाने से भी
फ़िर से इक डोली उठी फिर शख़्स इक पागल हुआ
मैं नुजूमी तो नहीं हूँ पर बता सकता हूँ मैं
तू है जितना ख़ूबसूरत उतना ही है बेवफ़ा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aqib khan
our suggestion based on Aqib khan
As you were reading Breakup Shayari Shayari