zamaane mein nahin kuchh bas tumhaara saath kaafi hai | ज़माने में नहीं कुछ बस तुम्हारा साथ काफ़ी है

  - Prashant Arahat

zamaane mein nahin kuchh bas tumhaara saath kaafi hai
bitaane ko awadh ki shaam ye sougaat kaafi hai

iraada hai abhi mera kshitij tak saath chalne ka
rahe haathon mein mere bas tumhaara haath kaafi hai

suna do jo sunaani ho gunaahon ki saza mere
adaalat ho tumheen to ab tumhaari baat kaafi hai

hamesha yaad aayegi mujhe har pal tumhaare bin
guzaari thi guzishta saal jo vo raat kaafi hai

zaroorat hi nahin anubandh patron ki mujhe to ab
kahi jo baat hai maine miyaan vo baat kaafi hai

muhabbat mein alag karne pe aamada zamaana hai
nahin kuchh aur bas inke liye to zaat kaafi hai

ज़माने में नहीं कुछ बस तुम्हारा साथ काफ़ी है
बिताने को अवध की शाम, ये सौग़ात काफ़ी है

इरादा है अभी मेरा क्षितिज तक साथ चलने का
रहे हाथों में मेरे बस तुम्हारा हाथ काफ़ी है

सुना दो जो सुनानी हो गुनाहों की सज़ा मेरे
अदालत हो तुम्हीं तो अब तुम्हारी बात काफ़ी है

हमेशा याद आएगी मुझे हर पल तुम्हारे बिन
गुज़ारी थी गुज़िश्ता साल जो, वो रात काफ़ी है

ज़रूरत ही नहीं अनुबंध पत्रों की मुझे तो अब
कही जो बात है मैंने मियाँ वो बात काफ़ी है

मुहब्बत में अलग करने पे आमादा ज़माना है
नहीं कुछ और बस इनके लिए तो ज़ात काफ़ी है

  - Prashant Arahat

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Arahat

As you were reading Shayari by Prashant Arahat

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Arahat

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari