chhod ab dooriyaan banaate hain
baat koii nayi sunaate hain
tu mujhe chhod kyun nahin deta
raah dono alag banaate hain
saal do saal aur mauqa hai
baad uske safar mein jaate hain
yaad teri sata rahi mujhko
tu bata tujhko yaad aate hain
jaan dukh dard sab samjhti hoon
isliye khooon nazar se aate hain
छोड़ अब दूरियाँ बनाते हैं
बात कोई नई सुनाते हैं
तू मुझे छोड़ क्यों नहीं देता
राह दोनों अलग बनाते हैं
साल दो साल और मौक़ा है
बाद उसके सफ़र में जाते हैं
याद तेरी सता रही मुझको
तू बता तुझको याद आते हैं
जान दुख दर्द सब समझती हूँ
इसलिए खूँ नज़र से आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Arohi Tripathi
our suggestion based on Arohi Tripathi
As you were reading Musafir Shayari Shayari