gaal gusse se laal kar baithi
had se ziyaada jalaal kar baithi
kis liye yaad main karoon tumko
tumko bhoola khayal kar baithi
shaam se raat ho chali hai ab
saare jugnoo mashal kar baithi
tera dukh dard sah nahin sakti
qatl tera halaal kar baithi
jo bhi thaana wahi kiya maine
usko dil se nikaal kar baithi
jaanti hi nahin mujhe duniya
kya se kya main kamaal kar baithi
ishq uska gale ka fanda tha
shukr hai vo nikaal kar baithi
गाल ग़ुस्से से लाल कर बैठी
हद से ज़्यादा जलाल कर बैठी
किस लिए याद मैं करूँ तुमको
तुमको भूला ख़याल कर बैठी
शाम से रात हो चली है अब
सारे जुगनू मशाल कर बैठी
तेरा दुख दर्द सह नहीं सकती
क़त्ल तेरा हलाल कर बैठी
जो भी ठाना वही किया मैंने
उसको दिल से निकाल कर बैठी
जानती ही नहीं मुझे दुनिया
क्या से क्या मैं कमाल कर बैठी
इश्क़ उसका गले का फंदा था
शुक्र है वो निकाल कर बैठी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Arohi Tripathi
our suggestion based on Arohi Tripathi
As you were reading Ulfat Shayari Shayari