qaraar dil ko mere raat-bhar nahin aaya
nazar vo chaand mujhe taa-sehar nahin aaya
jo ek shakhs kabhi saath chhod kar na gaya
gaya vo shakhs to phir laut kar nahin aaya
mujhe dikha to faqat pyaar uski aankhon mein
nazar mein uski tha kya vo nazar nahin aaya
main jang jeet gaya par raha malaal yahi
ki jang ladne vo seena-sipar nahin aaya
kaha tha maine vo ladka sahi nahin lekin
yaqeen usko meri baat par nahin aaya
vo kissse milne bhala ban-sanwar ke jaata hai
jo hamse milne kabhi ban-sanwar nahin aaya
dikha tha khwaab mein vo raasta mujhe jispar
chala bahut main magar yaar ghar nahin aaya
tamaam umr muhabbat mein be-wafaai ki
tamaam umr hamein ye hunar nahin aaya
क़रार दिल को मिरे रात–भर नहीं आया
नज़र वो चाँद मुझे ता–सहर नहीं आया
जो एक शख़्स कभी साथ छोड़ कर न गया
गया वो शख़्स तो फिर लौट कर नहीं आया
मुझे दिखा तो फ़क़त प्यार उसकी आँखों में
नज़र में उसकी था क्या वो नज़र नहीं आया
मैं जंग जीत गया पर रहा मलाल यही
कि जंग लड़ने वो सीना-सिपर नहीं आया
कहा था मैंने वो लड़का सही नहीं लेकिन
यक़ीन उसको मिरी बात पर नहीं आया
वो किससे मिलने भला बन-सँवर के जाता है
जो हमसे मिलने कभी बन-सँवर नहीं आया
दिखा था ख़्वाब में वो रास्ता मुझे जिसपर
चला बहुत मैं मगर यार घर नहीं आया
तमाम उम्र मुहब्बत में बे–वफाई की
तमाम उम्र हमें ये हुनर नहीं आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhishek Bhadauria 'Abhi'
our suggestion based on Abhishek Bhadauria 'Abhi'
As you were reading War Shayari Shayari