pairo'n mein gham-e-hijr ki zanjeer liye hai | पैरों में ग़म-ए-हिज्र की ज़ंजीर लिए है - Abhishek Bhadauria 'Abhi'

pairo'n mein gham-e-hijr ki zanjeer liye hai
haathon mein kisi shakhs ki tasveer liye hai

ik zakham mujhe chain se sone nahin deta
ik zakham mere khwaab ki taabeer liye hai

baatein kare hain sab hi muhabbat ki yahan par
haathon mein koi phool koi teer liye hai

maa–baap na mehboob na dushman na koi dost
hai koi jo mujh–si yahan taqdeer liye hai

ab to khuda hi jaane kahaan jaayegi duniya
har shakhs hi ab haath mein shamsheer liye hai

sunte hi jise maut hi aa jaayegi sabko
kuch aisi khabar aaj khabar–geer liye hai

usko na mila gar to kisi ko na milega
tadbeer ik aisi bhi jahaan–geer liye hai

tere hi kisi jurm ka anjaam abhi aaj
teri dua ka haamil–e–taaseer liye hai

पैरों में ग़म-ए-हिज्र की ज़ंजीर लिए है
हाथों में किसी शख़्स की तस्वीर लिए है

इक ज़ख़्म मुझे चैन से सोने नहीं देता
इक ज़ख़्म मिरे ख़्वाब की ताबीर लिए है

बातें करे हैं सब ही मुहब्बत की यहाँ पर
हाथों में कोई फूल कोई तीर लिए है

माँ–बाप न महबूब न दुश्मन न कोई दोस्त
है कोई जो मुझ–सी यहाँ तक़दीर लिए है?

अब तो ख़ुदा ही जाने कहाँ जाएगी दुनिया
हर शख़्स ही अब हाथ में शमशीर लिए है

सुनते ही जिसे मौत ही आ जाएगी सबको
कुछ ऐसी ख़बर आज ख़बर–गीर लिए है

उसको न मिला गर तो किसी को न मिलेगा
तदबीर इक ऐसी भी जहाँ–गीर लिए है

तेरे ही किसी जुर्म का अंजाम ‘अभी’ आज
तेरी दुआ का हामिल–ए–तासीर लिए है

- Abhishek Bhadauria 'Abhi'
2 Likes

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abhishek Bhadauria 'Abhi'

As you were reading Shayari by Abhishek Bhadauria 'Abhi'

Similar Writers

our suggestion based on Abhishek Bhadauria 'Abhi'

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari