ye kaisa mod ab aaya hai zindagaani mein
ki aa raha hai maza car–e–jaan–sitaani mein
usi tarah mili hai zindagi mein tanhaai
mile hai jaise suroor–e–sharaab paani mein
tamaam umr rahe ham talash mein jis ki
sukoon ham ko mila hai vo sher-khwani mein
nawaazishein hain kisi ki kisi ki qurbaani
mera hi zikr nahin hai meri kahaani mein
shareek–e–jurm ne fard-e-hisaab dekh kaha
sazaa–e–maut ata ki hai meherbaani mein
guzar rahe hain sukoon mein kisi ke shaam–o–sehr
bhatk raha hai koi dast–e–la–makaani mein
nazar jo aa raha hai aap ko hai aur koi
guzar chuka hai abhi marg–e–na–gahaani mein
ये कैसा मोड़ अब आया है ज़िंदगानी में
कि आ रहा है मज़ा कार–ए–जाँ–सितानी में
उसी तरह मिली है ज़िंदगी में तन्हाई
मिले है जैसे सुरूर–ए–शराब पानी में
तमाम उम्र रहे हम तलाश में जिस की
सुकून हम को मिला है वो शे'र-ख़्वानी में
नवाज़िशें हैं किसी की किसी की क़ुर्बानी
मेरा ही ज़िक्र नहीं है मेरी कहानी में
शरीक–ए–जुर्म ने फ़र्द-ए-हिसाब देख कहा
सज़ा–ए–मौत 'अता की है मेहरबानी में
गुज़र रहे हैं सुकूँ में किसी के शाम–ओ–सहर
भटक रहा है कोई दश्त–ए–ला–मकानी में
नज़र जो आ रहा है आप को है और कोई
गुज़र चुका है ‘अभी’ मर्ग–ए–ना–गहानी में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhishek Bhadauria 'Abhi'
our suggestion based on Abhishek Bhadauria 'Abhi'
As you were reading Budhapa Shayari Shayari