gham ka tamasha ya kiya tha sach ka hi iqraar yaar | ग़म का तमाशा या किया था सच का ही इक़रार यार

  - "Dharam" Barot

gham ka tamasha ya kiya tha sach ka hi iqraar yaar
jo bhi kiya tha apnon ko karna nahin tha vaar yaar

bacche mere ho tere jaise kehta hoon har baar ye
isse ziyaada kya hi hoga tera mera pyaar yaar

tu dekh kar bhi mil nahin paata tera gham hai magar
isse bura tha waqt likh kar dekh thode taar yaar

ye baith kar ro lene waala kaam sach mein achha hai
rakhkar ghutan andar hi andar marta kitni baar yaar

ham lokshaahi mein dikhaava achhe se kar lete hain
pachti nahin sach mein kisi ko hoti hai jab haar yaar

maa-baap se milti duaon ka hi hai saara asar
kar deta hoon har ik museebat chutki mein hi paar yaar

ग़म का तमाशा या किया था सच का ही इक़रार यार
जो भी किया था अपनों को करना नहीं था वार यार

बच्चे मेरे हो तेरे जैसे कहता हूँ हर बार ये
इससे ज़ियादा क्या ही होगा तेरा मेरा प्यार यार

तू देख कर भी मिल नहीं पाता तेरा ग़म है मगर
इससे बुरा था वक़्त लिख कर देख थोड़े तार यार

ये बैठ कर रो लेने वाला काम सच में अच्छा है
रखकर घुटन अंदर ही अंदर मरता कितनी बार यार

हम लोकशाही में दिखावा अच्छे से कर लेते हैं
पचती नहीं सच में किसी को होती है जब हार यार

माँ-बाप से मिलती दुआओं का ही है सारा असर
कर देता हूँ हर इक मुसीबत चुटकी में ही पार यार

  - "Dharam" Barot

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by "Dharam" Barot

As you were reading Shayari by "Dharam" Barot

Similar Writers

our suggestion based on "Dharam" Barot

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari