gaur karne jaisi baaton par bhi kar paata nahin gaur
ishq mein insaan sunta hi nahin ya sunta hai aur
gair ka kya chhod deta saath saaya bhi hamaara
zindagi mein us akeleypan ka aana chahiye daur
chahiye tha waqt mujhko vaaste mere zara sa
usne samjha zindagi mein aa gaya mere koii aur
naam kya hai pooch ke ye mood ko mere bigaara
theek karne mood mera ab sunaao dost kuchh aur
dekh kar insaan apne sur badalta hoon dharm main
jaanta hoon achhe se ye kis pe main kar paata hoon jor
ग़ौर करने जैसी बातों पर भी कर पाता नहीं ग़ौर
इश्क़ में इंसान सुनता ही नहीं या सुनता है और
ग़ैर का क्या छोड़ देता साथ साया भी हमारा
ज़िंदगी में उस अकेलेपन का आना चाहिए दौर
चाहिए था वक़्त मुझको वास्ते मेरे ज़रा सा
उसने समझा ज़िंदगी में आ गया मेरे कोई और
नाम क्या है पूछ के ये मूड को मेरे बिगाड़ा
ठीक करने मूड मेरा अब सुनाओ दोस्त कुछ और
देख कर इंसान अपने सुर बदलता हूँ धरम मैं
जानता हूँ अच्छे से ये किस पे मैं कर पाता हूँ जौर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by "Dharam" Barot
our suggestion based on "Dharam" Barot
As you were reading Ishq Shayari Shayari