main neta salary bhi daan kar deta | मैं नेता सैलरी भी दान कर देता

  - "Dharam" Barot

main neta salary bhi daan kar deta
liye bin salary ghar apna bhar deta

mera kya hai hoon main ik aam sa insaan
mujhe in sab se kya main sirf kar deta

diye maine the jitni baar jaakar vote
naya kya dharm ya phir jaat par deta

tujhe badlaav laana hai magar tu bhi
emotion se dharm sach jhooth kar deta

मैं नेता सैलरी भी दान कर देता
लिए बिन सैलरी घर अपना भर देता

मेरा क्या है हूँ मैं इक आम सा इंसान
मुझे इन सब से क्या मैं सिर्फ़ कर देता

दिए मैंने थे जितनी बार जाकर वोट
नया क्या धरम या फिर जात पर देता

तुझे बदलाव लाना है मगर तू भी
इमोशन से धरम सच झूठ कर देता

  - "Dharam" Barot

Mahatma Gandhi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by "Dharam" Barot

As you were reading Shayari by "Dharam" Barot

Similar Writers

our suggestion based on "Dharam" Barot

Similar Moods

As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari