jaisa main ne chaaha tha waisa nahin tha
baatein phir bhi theek thi lahja nahin tha
main ne bhi usko nahin dekha palat kar
aur usne bhi mujhe roka nahin tha
ek to vo bhi kisi ko chahti thi
aur achha main use lagta nahin tha
kya sitam hai tum pe ghazlein likh rahein hain
hamko ye dukh to kabhi likhna nahin tha
usmein utara to hua maaloom mujhko
vo kuaan to tha magar gahra nahin tha
doosron ke to hamesha aaya hai kaam
vo jo apna dhyaan bhi rakhta nahin tha
जैसा मैं ने चाहा था वैसा नहीं था
बातें फिर भी ठीक थी लहजा नहीं था
मैं ने भी उसको नहीं देखा पलट कर
और उसने भी मुझे रोका नहीं था
एक तो वो भी किसी को चाहती थी
और अच्छा मैं उसे लगता नहीं था
क्या सितम है तुम पे ग़ज़लें लिख रहें हैं
हमको ये दुख तो कभी लिखना नहीं था
उसमें उतरा तो हुआ मालूम मुझको
वो कुआँ तो था मगर गहरा नहीं था
दूसरों के तो हमेशा आया है काम
वो जो अपना ध्यान भी रखता नहीं था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dileep Kumar
our suggestion based on Dileep Kumar
As you were reading Sach Shayari Shayari